Monday, February 19, 2007

Shakeel Badayuni

Ai mohabbat tere anjaam pe rona aaya
Jaane kyun aaj tere naam pe rona aaya

Yun to har shaam ummeedon me guzar jaati thhi
Aaj kuchh baat hai, jo shaam pe rona aaya

Kabhi taqdir ka maatam, kabhi duniya ka gila
Manzil-e-ishq me har gaam pe rona aaya

Jab hua zikr zamaane me mohabbat ka "Shakeel"
Mujhko apne dil-e-bekaam pe rona aaya

Air mohabbat tere anjaam pe rona aaya...

- Shakeel Badayuni

No comments: